Monday 17 November 2014

YA HALEEMU KHET ME BARKAT

 AHLE TEHQEEQ NE FARMAYA HAI KE IS ISM KI BARKAT SE MAKHLUQ KA AABO TA’AM MURATTAB KIYA GAYA  HAI AUR ISI KI BARKAT SE AALIM QAYEM HAI-AGAR KOI SHAKHS 883 BAAR ROZANA TILAWAT KARE TO KHILQAT MEHERBAAN HO (TANWEER) IS ISM KO KAGAZ PAR LIKH KAR PAANI SE DHO-KAR WAQT AABPAASHI KHET ME CHIDKE ZARA’AT ME BARKAT HO AUR KHETI AFAAT ARZI SE AUR SAMAAVI SE MAHFUZ RAHE-GI –(ZAFAR JALEEL)SHIEKH HAJI NAASIRUDDEENAUR ABDUL MAJEED MAGRABI RAZI ALLAHO TA’ALA ANHUMA MUTTAFIQ HAI KE AGAR BIMAR KE SIRHANE EK BAAR SURAH FATEHA AURDUS BAAR YA HALEEM PADHE TO MARZ KE HAIJAAN AUR SHID-DAT ME FAURAN TAKHFEEF HO AUR MAREEZ SHIFAYAAB HO-

Aap k agar  
sawalat ho to email kare

Amelqadri@gmail.com

Duao ka talabgaar

Amel qadri

No comments:

Post a Comment